nazar nahi aata
Zaalim ghalib wo magroor hai apne kaarname pe
Mazlum be-ilm aur hairan be hai gawane se
Ye jo zahar hai kyun kar hai zahanaon me
Kiya momin nahi insaan apne jatane me
Kahte the pathar pada kyun hai is rah ke dahane me
Koi muslma nahi guzra hoga subha se is dopaye se
Kiya sharmsaar nahi hum apane is paimane se
Ilm haasil karne se aur isko dunya ko sikhane me
Kiya zindagi nahi hai kaarkhana islam ka
Kyun badnaam hai musalmaun is zamane me
Kyunkar ho tere humsaaye tujse hairan shahar bhar me
nahi hai Malum zahar bhi bikta hai baazaraun me
Khuda kare ke aman ho hamare watan me har sun
Kiya nahi hota paass khabar sun ke zamane ki
Hairaan hote bhi hai aur kabhi pareshaan bhi
Kiya hiqmat aur sujait bus baaki hai fasaanaun me
Wo mar bhi gaya, jannat bhi paye ga
Manzil to maut hai magar rah abhi baaki hai
Ye jo mushkil huwi koi mohsin nazar nahi aata
Maharbaan aate bhi hai magar koi surat nazar nahi aati