Kuch To Ho

Manzil Kuch Nahi bus Rahmaan ki Khushnudi Ho
Jikr me Dunya Guzre Meri, Maut ki bus aarzu Ho

Is choti si Dunya ki Ek choti si aarzoo Ho
Naam Rub ka Zuban pe Ho jab Jane ki Baari Ho

Na Jaan Paaye Ga

Koi Lutera Kahta Hai To Koi Padsha Humko
Kiya Hai hum Khud bhi Na Samajh paaye Kudko

Puri Zindagi Guzri Apni Paichaan Banaye me
Kisi ko Lutne Me, Kisi ko Samjhane me

Zinda Rahe To Kisi Ke Dam se Hum
Maut Bi aayi to kisi ke ho nap aye Hum

Jahagiri Samethi Dusraun ko Dhoka Deke Humne
Kiya Pata Tha Aulad Jald Hi Dhoka Khaye hi

Khush Karte Rahe sabko Bus Ghum Khaya Humne
Kabhi pakde Gaye Kabhi Shahar Jalaya Hum ne

Ghar Bhi Jalaya Aur Khud Bhi Jal Baithe hum
Koi na Mila Tajposhi to, Bewakoof Dhund laaye Hum

Kiya Pata humko kiya Deen Hota hai
Hayseeyat Humari koi Na Jaan Paaye Ga

Maut ki Arzoo

Is khuwahishaun ki dunya me
meri khuwahish hai ke maut aajaye

Han abhi tazha hai zakham kyun khuredte ho
Marham to laga dun phir ched dena mujhe

Kabhi ruk ke dekhu main Aasmaan Se chup chap
kab mit'ti hai dunya is ke paristaraun ke haath

Koi aafat nahi aati insaan khud bulata hai
Ise kuch yaad nahi rahta fir galti dahrata hai

Bana hai Ibn e Adam par khud hi haiwan banjata hai
Qudrat ko dekhta bhi hai aur shaitaan ban jata hai

Khuda e Yakta ka paristar na bana to Kiyabana is dunya me
Suna hai dunya gol hai Phir yunhi chakkar khata hai

Mohsin Dard seene me hai Ya Ruh me Pata nahi
Rah rah ke Marne ki aarzoo tuze khati jati hai

Sad

Jo saare jahan se achcha tha kyun kar hai Naak uski neeche aaj
Jo hindustan tha to kahan hai uska abhimaan aaj

Rota bhi hun ghum se bahnaun ke main
Saham bhai jaata hun aakhbaar padh ke main

Kaha hai wo ekkta kaha wo akhandata mere watn ki
Bharat mera mulk hai bus sab bhai Bahan nahi rahe

Ladta hai mazhab ke naaam pe, kahi jaati jamaat ke naaam pe
Kahi koi khush bahut hai pachchim ke andhe parbhav se

Raat ko neend nahi aati phir bhi ishwar yaad nahi aata
Buss jhuti asmeeta ki khatir ishwar yaad aajaata hai

Kisi ka zameen ka zagda kisi ko kursi hai piyaari
Aur bhagwan ke naaam per aajkal sabhi ko apni dukaan piyaari 

Mohsin kuch Kahe to kuch dil naaraaz honge
Kiya Hindi ko na raha ab hindustan piyara apna?

Pray for Humanity


Sara Zamana Chup hai jo Gaza Jal raha Hai
Kiya Khudai bhi Hai ghumsum jo Filisteen Jal Raha Hai?

Yarab Zalil wo khuwar huwe Musalman jo be amal huwe
ab bhi Ilm Nahi inko ke Ilm se hi hai haq baaki jahan me

Badi shaad maani hai  eid ki mere mulk me lekin
Kiya Bataun kiya kiya ban raha hai

Yaarab phir hume wo dunya ki khilafat de de
Tere raaste pe chale aur roke burai se dunya ko

Mohsin ye hi aarzu ho teri ke akjahti dekhun zindagi mi
Phir wahi bahar ho chaman me, har sun Bulbule Gayen

Kiya ye Dunya

Kiya ye dunya fir khush wo khurram hogi
Kiya phir saare jahan me thaohid zinda hogi

Kiya hoga iesa se milna kiya mehdi koi banega
Kiya mera dil khilega mominaun ki fatah pe

Khidmat e Khalk


Khidmat e khalk ke liye hai, Ya kisi garz ke liye
Anjumal to saja li hai parwanaun ne, shamma ka pata nahi

Maksad ho jamat ka tab tadbeer hoti hai
Maqsad munfarid ho to jab baat hoti hai

Koi utha hai sahafat ke liye koi zayafat hi chahta hai
Koi siyasat ke liye hai to koi riyaasat chahta hai

Kabhi khub mahnat ne koi karnama ho
Bada nahi sahi chota sa hi afsaana ho

Mohsin banto jaun main magar kiya khub hota
Zaahid ban bhi jaun to aamil ban na paun main