Khudsari


Mera hi naam hai har zabaan pe ab to
Main hi maujood hun is zamane me ab to

Main koi nahi ek zinda laash hun
Bekafan beparda ek nanga naach hun

Har nafas chahe mujhko is zamane me
koi aur nahi gurur hun, hawas ki Aag hun

Kabhi banti hun badla kabhi jalan banjati hun
Ilm se darti hun, jahilaun ke saath rahti hun

Bahti hun lahun me insaanaun ke lekin
Haiwan bana deti hun insaanaun ko

mominaun se dar lagta tha ab nahi lagta
Wo bacha hi nahi bus naam ke siwa zamane me

Mera maalik iblis hai aur main parastar hun
Fasaad hun to kabhi, to kabhi aurat ki uryaani hun