Khilifa bana ke bheja tha


Wo ilm hai duniya ko par koi aalim nahi
Ilm ki baat karte hai yahan koi aamil nahi


Niyate hoti hi nahi dunya ki pechidgi me
Koi soche bas yahan koi zaroorat hi nahi


Khilifa bana ke bheja tha us paigam dene wale ne
Paigaam ko baaki hai magar koi hikmat hi nahi


Nahi nazar aata mujhko phir dunya ki zukna
Kiya pata koi aur tarkeeb ho beenAi bhi nahi


Bahtari ab kahi ho to mujhe bhi lechalo wahan
Is shahar ki galiyun me wo khushboo hi nahi


Mare hairat ke ghunha huwe jata hun
Akhirat hi nahi ab bus dunya hi sahi


Kyun rota hai mohsin bedili se is haalat pe
Iqbaal ne kaha tha koi musa hi nahi