zulmat hai


Batao kiya ye zulmat hai, batao kiya ye haalat hai
Kabhi hote the khalifa bhi, abhi kiya ye gurbat hai

Kahi kuch to tha zamana inki thokar pe
Abhi rahte hai ye musalman sab ki chaukhat pe

Wo shifa ki talash aur wo fiqah ki zaroorat
Kiya maojud bhi hai inko abbhi us kitaab ki zaroorat?

Mahnat kash bhi the, sukoon bhi moyassar tha
Zalil o khuwar phirte hai, zahanaun ki zaroorat me

Khoya jo imaan isne to fikr ki badhali huwi
Ilm to jata raha, hiqmat bhi padal huwi

Koi bataye mujhko kiya ab kuch baki hai
Biti huwi yade hai ya fir afsaane hai

Mohsin pasheman hona bahtar nahi hai dunya me
Suna hai aur koi dunya hai jis ka imtehan baki hai