Sunta to bahut hai


Sunta to bahut hai darra bhi deta hai
Kahta hai zara ruko waqt ziyaada nahi hai

Main bataun to kaise bataun kiya hota hai
Kabhi din me taare hai kabhi raat me suraj

Himmat jutata hun kahta hun main bebami se
Magar kabhi sahamta bhi hun kabhi ruk jata hun

Kahte hai hume kuch aur kuch yunhin bhi
Kabhi kahte nahi aur hun samajh  jate hai

Lagta hai haseen khuwab hai jo chalta jata hai
Thamta hi nahi darya bus bahta jata hai

Sahil ko pahunchke hum ne yaad ki wo choti
Nikla tha jahan se wo aab ka zharna bhi

Zindagi shayad yun hi badalti rahti hai
Kabhi rang to kabhi hayyyat badalti rahti hai

Aabshaar se bahta pani bhi sagar me hi milta hai
Kiya pata sahra kaha hai jo sukh bhi jata hai

Phir bhi bhujta nahi hai chahat ka safar
Kabhi badal se girta hai kabhi aakhaun se

Mohsin badi niraali hai dunya ke samoye leti hai
Kabhi chak e chilman hai kabhi khud hi sii deti hai