Massarat Thi
Pur
Massarat Thi Aap Ki khuwahish
Firaaq Bhi Chahiye Wisaal Ke Pahle
Yun to Bahtar Hi tha Milna Aap Se
Judai Me Bhi Kuch Apni Baat Hai
Inteha Ko Pahche Gi apni Tanhai TubHi
Lagta hai Milne Ka Maza Bhi Kuch Aur Hoga
Tum Bhi Tadapna aur Main Bhi tadpuangi
Shiddat e Arzoo Tab Ja kar Hogi Puri
Bahtar Rahe Ga Ke Main Chup Rahun
Suna hai Ke Khamushi Bhi Ulfat Hoti hai
Koi Mohsin Ki Talash Me Hoga Kahi
Kiya Pata wo uske Duwa me Shamil ke Nahi.