Ahsaas Bachpan Ka


Bachpan sa Hota Hai mahsoos, main kho sa jata hun.
Meri masoomiyat shararate ban jati  hai.

Kahta wo sab to hai, main sunnta jata hun
Samajhta kuch kabhi bus husta jata hun

Khush to hota hun aur darr sa jata hun
Phir duwa karta hun ro sa jata hun

Rahna chahta hun un darichaun me chup ke main
Phir kahi uth ke main baagata jata hun

Khud hi ruth jata hun, khud hi man bhi jata hun
Phir husta hun aur tan sa jaata hun

Unse Milta Hun to Bhool sa Jata Hun
Kiya main Hun, Kiya Ban sa Jata Hun

Ata hai wo milne mujhse phir laut jata hai
Main yun hi talash me uske gum sa jata hun

Insaaan hai tu, saham bhi jata hai.
Ruthe hai Mohsin wo teri bebaaki par.