Aarzoo
Kitni Haseen hai ye rahen karam ki
Lagta hai kabhi raham khatum na hoga
Manzil hai nazar me ufk ki paas
Lagta hai main phit laut jaun
Suraj ki talaash me likla tha sikandar
Jab paya use to rastaun ko yaad kiya
Kabhi maqsood nahi hota muqaddar
Ye to chalna hai aur chalte jana hai
Rahen bhi hongi, kuch sabz kuch khaki
Musaafir badlenge, humsaaye saath honge
Kahin aur hoga aashiyaana, koi aur chaman hoga
Kabhi sahra to kabhi barsaat ka dam hoga
Hoga wahi jo hote aaya hai
Koi zhalim to koi mazlum hoga
Rahta main ne ghar me, manzil ki talaash me
Koi nasheman aur koi bulbul hoga
Yaad rah jayegi wo must baharen
Kabhi khizaun ka, kabhi mahfil ka jikr ho
Mohsin kyun kare aarzoo us chaman ki
Kabhi khyaaban to kabhi aram hoga