NaMaalum


Phir tere kooche ko jaata hai khayal
Dil-e-gum gashta magar yaad aaya

Kyun pareshaa haitu us shay ko lekar ke
Jispar chalta nahi zor kisi ka dunya me


Hoga sab wahi jo chahega woh
Kyun tu, isko ab bhi samajhta nahi


Tu hai  zameen par aazmaye jane ke waste
Kyun aab bhi tera sar sajdaun me zukta nahi


Karna hi hai, to karle sajde hazaar
Azmaaish nahi hoti kisi ki waqt se ziyaada 


Umeed hi hai to ye ummeed  tu karle
Ke ho karam uska tujpe wahan bhi, yahan bhi 


 aarzuan bahut si hai, magar zindagi kam mohsin
Kiya pata uth chale to shaher se kisi bayanbaan ki aur.