Hun Hun



Kabhi khilta sa hun, khabi bujh sa jata hun
Aur koi nahi bass yun hi apne ko paata hun

Naya sa hai sab, kuch maaloom mujhko nahi
Kyun baar baar main tymhe  hi pukaarta hun

Shayad kuch bhi nahi kahna mujhko tumse hai
Ya phir raaz hai jo yun hi khah jata hun

Kabhi thamta hun, khabhi yun hi chala jata hun
Ahsaas hai naya aur nai si hai baat ab kuch

Kabhi koi baat hoti hai aur kabhi nahi hoti
Phir main aur khicha sa chala jata hun

Har dun ghumgeen rahta tha kab se kiya pata
Ab khush hun to khushiyan manata jata hun

Mashkoor hun main abhi kabhi zindagi se
Shukar karta hun aur karta chala jata hun

Mohsin koi ho jo tujhe yun hi samjhe bahtar
Yun bahut khub hota ke tum hote meri paas