Is khuwahishaun ki dunya me
meri khuwahish hai ke maut aajaye
Han abhi tazha hai zakham kyun khuredte ho
Marham to laga dun phir ched dena mujhe
Kabhi ruk ke dekhu main Aasmaan Se chup chap
kab mit'ti hai dunya is ke paristaraun ke haath
Koi aafat nahi aati insaan khud bulata hai
Ise kuch yaad nahi rahta fir galti dahrata hai
Bana hai Ibn e Adam par khud hi haiwan banjata hai
Qudrat ko dekhta bhi hai aur shaitaan ban jata hai
Khuda e Yakta ka paristar na bana to Kiyabana is dunya me
Suna hai dunya gol hai Phir yunhi chakkar khata hai
Mohsin Dard seene me hai Ya Ruh me Pata nahi
Rah rah ke Marne ki aarzoo tuze khati jati hai