pashemaa huwe


Kyun Uthata hai ufaq se koi duwa
Kidhar ki khoj hai aur suraj kaha


Phir ziya hoto hai mahsoor kidhar se
Wo jagha kaha jahan hota hai shuru


Rahta hai maqsood dhundna uska hi
Kiya karna hai mahsoos ja kar ke


Kiya paya tha jo khoye ga tu rahkar
Phir lot ke jana hai, yaha bas ruk kar


Thodi si mili thi aur kuch hai baaki
Kon rahta hai hamesha yaha baskar


Mohsin pashemaa huwe chahkar usko
Jo maujud hi nahi tha is dunya main