Khubyun ko bhi uzaakar kare
Na Main Mulla Hun Na main mufti Na Kaazi hun
Na parampara Na Bhagwan ko Baantne Ka Aadi hun
Main Insaan Hun Kabhi dara Kabhi Kuchla Hun
Aaj Shaam teri film Dekh Kar Aaya hun
Sidhe sidhe Jawab Mile Ankhe Khol Di isne
Sabhi dharmaun ke Pakhandi iski Baat suno
Khubyun ko bhi uzaakar kare koi gar isne kamiya ginai hai
1% kharaab logaun ke kaaran sab ki badnaami hai
Ye sanatan ke khilaaf nahi Mere desh Ki Kahani hai
Kahte ho Bhai Phir Ye kon si mahabarat banani hai?
Kuch adambar Nahi Sab Paise Ki Kahani Hai
Apni rotiya sekhani ki ajab zahrili kahani hai
Topi aur bachchiyan dekhna kuch log bhool gayi
Burkhe aur safaid saari ko bhi dekh kar log bhul gaye
Han sab riwaaj adambar Hai yaad ke siwa
Pat pethi adambar Hai mazaar ki chaadar adambar hai